Saturday, September 13, 2014

Hum pyaar nibhaanaa bhool gaye

chali koi aisi hawaa, ki hum muskuraanaa bhool gaye
kar li mohabbat magar hum usko nibhaanaa bhool gaye

bheegne kaa mausam thaa aur bhignaa bhi chaahte the
galti bas itni hui, ki hum baahar jaanaa bhool gaye

chiraagon se ghar ko sajaayaa ki roshni si ho jaaye
roshni kaise hoti jab hum un ko jalaanaa bhool gaye

uske hi ghar kaa pataa hum kaagaz par likh ke chale
pahuch bhi jaate hum magar pataa dekhnaa bhool gaye

maikhaane gaye bhi the, nashaa jaisaa kuch ho jaaye
yaad jo aayi aankhen uski, jaam lagaanaa bhool gaye

kyaa kehte usse hum jisse kai waade they humne kiye
bahaanaa banaa lete par har woh bahaanaa bhool gaye

der itni bhi hui nahi thi laut ke woh naa aaa paaye
humse yeh galti hui ki hum usko bulaanaa bhool gaye

chhoti si baat thi, jis baat ke kaaran sab chhootaa
galti hamaari thi bas woh baat bhulaanaa bhool gaye

thode se paththar hi the, aisi koi mushkil thi nahi
girne se bach jaate, khud ko sambhaalnaa bhool gaye

No comments:

Post a Comment