Monday, September 29, 2014

Abhi baaki hai


surkhiyon mein hai nahi, kahin chhoti si khabar abhi baaki hai
dhadkanein ruk hi gayi hain, saans aakhri magar abhi baaki hai

yun aanaa huwaa tez hawaaon kaa ki shahar hi saaraa ujad gayaa
barbaad hone ke liye deewaaron se banaa yeh ghar abhi baaki hai

unko aanaa hai, haan woh aayenge, hai yakeen ab bhi is dil ko
hai nahi mohabbat abhi, yaadon kaa thodaa asar abhi baaki hai

dekhiye naa ab bhi muskuraa rahe hain, hum peeke zeher saaraa
keh bhi dijiye humpar dhaane ko kuch aur qahar abhi baaki hai

bahut chhipaayaa hai gili baarishon mein apne aansuon ko humne
dard mein muskuraane kaa is 'Hriday' mein hunar abhi baaki hai

No comments:

Post a Comment