Monday, September 8, 2014

Main lutaa jaa rahaa hoon

naa maaloom mujhe main kahaan jaa rahaa hoon
chalo sangh mere main jahaan jaa rahaa hoon

hain saagar ki lehrein, shaant kabhi paagal
in lehron ke sangh main bahaa jaa rahaa hoon

chidiyon ki hai chu chu, koyal ki hai koo koo
bas dhunn mein hi unke, doobaa jaa rahaa hoon

paagal dil meraa, aur main bhi hoon paagal
main paagal aur zyaadaa huwaa jaa rahaa hoon

hawaa mein hai khushboo, khushboo hai tumhaari
tumhaari khushboo mein, mehkaa jaa rahaa hoon

geeli si baarish, aur baarish kaa yeh paani
bheegaa samaa hai, fir kyun jalaa jaa rahaa hoon

leke haathon mein haath, tum chalo saath mere
main kis jahaan mein, kyaa pataa jaa rahaa hoon

koi roko, koi toko, zaraa sambhaalo bhi mujhko
hoon main nashe mein, main giraa jaa rahaa hoon

main paagal to thaa hi, dewaanaa bhi hoon ab
dewaanepan mein bas main bahaa jaa rahaa hoon

hai kasak ek 'Hriday' mein, aur thodi mohabbat
aur mohabbat mein hi main, lutaa jaa rahaa hoon

No comments:

Post a Comment